Bauht hi muddat k baad kal jab…

Kitab-e-Mazi ko main ny khola..

Boht se chehrey nzar main utray…

Bahut se namo’n pe dil paseeja….

Ik aisa safa bhi us main aaya….

Likha hua tha jo aansoon se….

K jis ka unwaan ‘HUMSAFAR’ tha….

Woh safa sub se mo’tabar tha….

Kuch aur aansoo phir us pe tapkay….

Phir uss se aagay main parh na paaya…

Kitab-e-Mazi ko bund ker k…

Uski yaadon main kho gaya main….

Agar woh milta tu kaisa hota…

Inhi khayalon main so gaya main