bahaaron ko chaman yaad aa geya hai

mujhay woh gul_badan yaad aa geya hai

lachakaati shaaKh ne jab sar uthaaya

kisi ka bankpan yaad aa geya hai

merii Khaamoshiyon par hansanay waalo

mujhay woh kam_suKhan yaad aa geya hai

terii suurat ko jab dekhaa hai main ne

uruuj-e-fikr-o-fan yaad aa geya hai

kisi ka Khoobsurat shair sun kar

tera lutf-e-suKhan yaad aa geya hai

milay vo ajanabii ban kar toh ‘Rifat’

zamaanay ka chalan yaad aa geyaa hai