Badal ke apna bhesh sanwariya

Jaa basa tu souten ke nagariya

Kaisa jadoo daala usne

Kaisa mantar phera usne

Uski chanchal adaaon ne loota

Dol gaya tera imaan bawariya

Bhool gaya tu meri atariya

Jaa basa tu uski nagariya

Raah nihaarun teri sanwariya

Banke teri jogan main bawariya

Sudh budh khoyee pyaar main tere

Lini na tune mori khabariya

Kis jaalim se preet nibhaai

Kardi apni maili chunariya

Rang saare the kachhe uske

Badrang kargaya mori chunariya

Raas rachaya souten ke dwaare

Daal di uske sar pe mori chunariya

Kardiya ghayal hogai main pagal

Kya kar diya tune zulmi sanwariya

Thug gai uske beimaan nayanwa

Le gaya neendiya kar gaya bawariya

Jis souten ke liye cheeni sudh-budh

Degi daga tujhko ek din sanwariya

Phootega tera karam o banwariya

Phir tu na rahega kiissii ka sanwariya

Bhatkega more pyaar main bawariya

Chalkegi tore nainon ki gagariya

Aarzoo yehi hai is ‘aarzoo’ ki

Tu bhi tadpe ek din more sanwariya