Baahon Main Teri Aaj

Baahon main teri ajj bikhar janay do

Mehki saanso main mujhe utar janay do

Raat tanha or sard mosam hai

ajj apni saanson main mehak janay do

Shoq nazrOn ko sharam aati hai

Thartharatay lab ko lab se sil janay do

Bikhra huye gaisuu bikhra hua kajal hai

Ajj rooh ko rooh main samaa janay do

Raat thori aarman dil main baqi hain

Ajj bahOn main hi teri ko kat janay do..