Ay Hijjr’zada Shabb!!

Ay hijjr’zada shabb,

aa tu hi mere seenay se lag ja ke baTay ghamm,

ehsaas ko tanhai ki manzil se millay reh

aawaaz ki gumnaam zameenooN ko millay nam

aa kuch tou ghaThay gham

iss saa’at-e-maHjoor ki fariyaad ho madham

kiyooN noHa’balab phirthi hei mehroom-e-makhatib !

Ay hijjr’zada shabb!!!

Dekh aaj tamanaaooN ki be’samt huvaaeiN

dil-e-sharminda nazar ko

phir le ke challeiN heiN wohi be’rakht huvaaeiN

ussi jadoo ke nagar ko,

jiskhaak pe utray Thay muraadooN ke saheefay

saNki thi jahaN sabz huva koo-e-wafa ki

mehkay Thay jahaN phool sift rang kisi ke !

uss khaak ka her roop mere waastay zindaaN

kuch rooThay hovay khawaab heiN

kuch TooTay hovay maan *sigh*

kuch barsay hovay abbr heiN, kuch tarsay hovay labb,

Ay Hijjr’zada Shabb!!

Aa tu hi galay lagg ke bata kon yahaN hei !

Juz khud’sarri-e-mauj-e-huva kon yahaN hei !

Hamdard mera, tere siva, kon yahaN hei !

Aa choom looN aankheiN teri, rukhsaar tere, labb,

Ay Hijjr’zada Shabb !!!