Apni Bekarari Me Ek

Ajeeb Sa Nisaab Paya

Doriy’on Kay Baad Bhi

Kareeb Sa Hisaab Paya.

Wo Aa gae To Mit Gae

Tushnagi Intazaar Ki,

Yun Bars’on Ke Sawal Ka

Ek Pal Main Jawab Payaa.

Mudaton K Bad Mila Jo

Deedaar Kaa Sooroor,

Jab Ajnabi Maahol Main

Josh Kaa Sharab Payaa.

Tajasus Aur Betabi Me

Yun Bhar Gayaa Urooj,

Jab Nazr’on Main Sharm

Or Rukh Per Naqab Paya.

Hosh Tha Wajod Me Na

Khauf Thaa Rakeeb Kaa,

Un Ko Dekhy Hi Dunya Ko Heech Aurr Kharaab Paya.

Jumbush B Na La Sake

Labo’n Par Alfaaz Kii,

Uss Zaat-E-Janan Me Ek Mobahum Saraab Paya.

Mile Bhi To Hum Per Ek

Ehsaan-E-Gaer Chor Gae,

Yun Ibtada-e-ishq Men

Hi Kia Khob Azab Paya.

Kia Khobion Pe Un Ki

Aqeel Kare Tabseera

Jab Baad-E-Molakaat B

Chehre Pe Hijaab Paya