Apni ankh se tapakta Qatra Qatra Poncha hai mene

Kitabo k safhaat Par apni zindgi ko Lapeta hai mene

.

Kese is maqam tak Pohncha hon Ye bas mujhi ko hai khab

raaton ki neend Ganwa kr is fan ko kharida hai mene

.

Kabi fiza tuje,

Kabi rang tuje,

kabi mosam kabi khushbu tuje

.

najane kya kya soch k najane kya kya Likha hai mene

na chand,na aab na aeyna tujko Likha kabi

.

K in shaffaf cheezo ko aksar toot’ta bikharta dekha hai mene

Gehraiyo me mat jaana suno doob jaoge warna tm b

.

abi tmhare Liye apne kuch jazbo ko bacha kr rakha hai mene.