Apney agazh-e-safar se anjam-e-safar tak tere he talash rahe

Mere saarey zindge beetay ho mazi mein gum rahe

Raat se subah tak aur subah se phir raat tak

Mere her sans mere dukhoun ka hamsafer rahe

Dariya ke sahil per bal khatey ho hoie takraati hoie lehroun ki tarah

Mere wajood ki her vaadey tere soch ka mehwar rahe

Jab jab tere yaad aye jab jab tere baat hoye

Tab tab tere hijar ki aag barhtey rahe

Baharien aien challey gaien mousam guzrey, saal beet gaye

Per meri zindge hamesha tere arzoo mein gum rahe

Saarey duniya ke loug khush rahe hum sow bhi na sake

Raat ke her pehar tere surgoshain mujhe jagatey rahien

Tum ne hamesha tasveer ka eik rukh dekha kabhi mujhe na jana

Mere saarey zindge tere samne hamesha ek khul-e- kitab rahe

Apney bachpan se aaj tak ussey kiyoun chaha {bewafa}

Tere zindge aaj bhi us ke nafratoun ka maskan rahe