aisii raateN bhii ka’ii guzrii haiN

jab terii yaad nahiiN aayii hai

dard siine meN machaltaa hai magar

lab pe faryaad nahiiN aatii hai

har gunaah saamne aa jaataa hai

jaise taariik chaT-TaanoN kii qataar

na ko’ii hiilaa-e-teshaa-kaarii

na madaavaa-e-rihaa’ii, na faraar

aisii raateN bhii haiN guzrii mujh par

jab terii raah-guzar meN saaye

har jagah chaar taraf the chhaaye

kabhii bhaage, kabhii aaye

tuu na thii, terii tarah ke saaye

saaye hii saaye the raqsaaN

maiN na thaa, merii tarah ke saaye

saaye hii saaye the larzaaN larzaaN

saaye hii saaye terii raahguzaar ke saaye

aisii raateN bhii haiN guzrii mujh par

jab terii yaad nahiiN aayii hai.