Aik larki uljhi suljhi sii

Jo khud main gum sum rahti thi

Yoon hi bethey bethey hans deti

Kabhi hanstey hanstey ro deti

Na jane us ko ghum tha kiya

Jo aksar chup chup rehti thi

Wo sard aamavas ki raatoo.n main

Chand ko dhondha karti thi

Kabhi garm dopehroo.n ko chatt per

Soraj sey baatai.n karti thi

Aik larki uljhi suljhi sii

Jo khud main gum sum rehti thi

Wo aksar sahil per ja kar

Moujoo.n sey khaila karti thi

Barsat main apney tan mun ko

Ashkoo.n sey bhigoya karti thi

Wo kanch sey nazuk khwaboo.n ko

Palkoo.n main piroya karti thi

Aik larki uljhi suljhi sii

Jo khud main gum sum rehti thi

Najane uska naam tha kiya

Per mujh ko aachi lagti thi

Jhoot bhari is duniya main

Wo wahid sachi lagti thi

Kal raat mujhe ik khabar mili

Wo aag main jal bethi

Wo apni kum sin nadaani main

Moti sey ganwa kutch pal bethi

Aik larki uljhi suljhi sii

Jo khud main gum sum rahti thi

Na jane us ko ghum tha kiya

Jo aksar chup chup rehti thi

AIK LARKI ULJHI SULJHI SII