Agar Chay Bazm Main Dard

Agar Chay Bazm Main Dard Aashna Bhi Kahta Hay

Koi Na Ho To Mujhay Wo Bura Bhi Kahta Hay

Mere Khuda Use Jhutlaon Kis Bahanay se

Wo Ajnabi To Mujhay Dard Aasna Bhi Kahta Hay

Main Is Ke Doghlay Pan Se Buhat Aajiz Hun

Wo Mujhse Pyaar Ko Apni Khata Bhi Kahta Hay

Howa Hay Apna Taruf Ek Aisay Mosum Main

Jo Aandhion ko Kharaam-e-Saba Bhi Kahta Hay

Nawadraat Ki Qeemat Par Jin Ko Baich sakay

Zamana Aise Buton Ko Khuda Bhi Kahta Hay

Qateel Tu Kabhi Waaiz Ka Aitabar Na Kar

Mazaak se Wo Tujhay Pyaar Saa Bhi Kahta Hay