Ae Maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye

aa jaa ki Zahar khaaye zamaane guzar gaye,

O jaane vaale aa ki tere intazaar mein

raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye,

Gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas

sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye,

Kya laayaq-e-sitam bhii nahin ab main doston

patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye,

Jaane bahaar phuul nahin aadmi hun main

aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye,

Kya kya Tavaqqoat thi aun se ai ‘SHAMS’

ye teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye.