Ab k saal kuch aisa karna

Apney pichley bara maah k

Dukh sukh ka andaza karna

Bisri yaadein taza karna

Sada sa ik kagaz ley kar

Bhooley bisrey pal likh lena

Phir iss beetey ik ik pal ka

Apney guzrey ik ik kal ka

Ik Ik mour ka ihata karna

Sarey dost ikhatta karna

Saree subhein hazir rakhna

Saree shamein paas bulana

Aur ilawa in k dekho

sarey mausam dheyaan mein rakhna

Ik ik yaad gumaan mein rakhna

Phir mohtaat qiyaas lagana

Gar to khushiyaan barh jati hain

Tu phir tum ko meri taraf se yeh saalgirah mubarak

Aur agar gham barh jaye to

Mat bekaar takaluf karna

Dekho phir tum aisa karna

Meri khushiyaan tum ley lena

Mujh ko apney ghum dey dena

Ab k saal kuch! aisa karna!

Hanste Rehna bus khush Rehna!