Ab darindo se na Haiwanon se dar lagta hai,

Kya zamana hai k insanon se dar lagta hai,

Izzat-e-nafs kisi shakhs ki mehfooz nahi,

Ab to apney hi nigehbano se dar lagta hai,

Khoon rezi ka yeh aalam hai ALLAH khair karay,

‘Ab Musalmano ko Musalmano se darr lagta Hai’..