aawaz dill ki kaun o maka’n tak chali gayee

ikk musht e khak urh k kaha’n tak chali gayee

jo baat dosto’n se chhupai thi aaj tak

wo baat dushmano’n ki zuba’n tak chali gayee

wo shakh e gull k jiss pe baharo’n ko naaz tha

wo shakh e gull bhi aaj khiza’n tak chali gayee

kia reh gaya hai abb dil e hasrat zada k paas

ikk aarzoo thii wo bhi fuga’n tak chali gayee

mehfil mai unki aaj bhi ham ajnabi se thai

abb aabroo e ishq yaha’n tak chali gayee

chhoti si aik lagzish e masoom ishq ki

mehraab e dill se kaba e jaa’n tak chali gayee

khunnab e gull shafaq ka tabassum hina ka rang

surkhi merey lahoo ki kaha’n tak chali gayee

ashqo’n ne dill ki baat zamaney mai aam ki

afsos ghar ki baat kaha’n tak chali gayee