Aaj keh diya phir kabhi na kehna,
Meri najro se tum door na jana,
Khushi bankar lafjo pe aaye ho tum,
Aansu bankar aankhon se kabhi na bahna.
Banaane me kya maja hai, wo kaarkhaane jaante hai,
Pilaane me kya maja hai, wo maykhaane jaante hai,
Jalne me kya maja hai, wo parwaane jaante hai,
Aur pyaar me kya maja hai, wo deewaane jaante hai.
Aaj phir tumhe dekhkar ek ummeed hai jaagi,
Phir tumse jindagi paane ki…
Nahi kar sake kuch aur to rok de is dil ki dhadkano ko,
Jo har waqt pukaarti hai tujhe.
Kabhi puchate the ham yaaron se,
Ki mohabbat kaisi hoti hai?
Aaj ye haal hai ki deewaano ki mahafil me,
Sabse pehle ginti hamaari hoti hai.
Jinda hai shah jahaan ki chaahat ab tak,
Gavaah hai mumtaaj ki ulfat ab tak,
Jaakar dekho Taj Mahal ko ai dost,
Patthoron se tapakti hai mohabbat ab tak.
Jo apne hote hai wo paraye ho jaate hai,
Jindagi ki raaho me aksar aise mukaam aate hai,
Dil tadapta hai magar jaan nahi nikalti,
Rooh roti hai phir bhi jeeye jaate hai.
Rim-jhim, rim-jhim paani barsa,
Dekhkar unko mera dil tarsa,
Jhoom utha saawan, tan man par jab saath na paya uska,
To aankhon se paani baarish ki tarah barsa.
Pyaar karo, pyaar ki koi had nahi hoti,
Do dilon ke beech koi sarhad nahi hoti,
Dilruba ko to sabhi chaahte hai,
Bewafa ko chaahne ki kismat sabhi ki nahi hoti.
Saja mili hai unse door rahne ki,
Ye baat nahi hai kisi se kahne ki,
Ham to reh lenge tere bina bhi magar,
In aansu ko rokenge kaise, inhe to aadat hai bahne ki.
Aansu ki keemat wo kya jaane,
Jo har baat pe aansu bahaate hai,
Aansu ki keemat to unse pucho,
Jo gam me bhi hasate-muskuraate hai.
Mohabbat duniya ki rasme nahi maanti,
Mohabbat duniya ki rasme nahi jaanti,
Mohabbat ko to sirf mohabbat hi hai pahchaanti,
Mohabbat ke siwa mohabbat kuch nahi jaanti.
Log kahte hai ki taj mahal khoobsurat hai,
Par main kahta hu ki mera mahboob khoobsurat hai,
Kyunki taj mahal ne to shabaab patthar se paya hai,
Magar mere mahboob ko to khud khuda ne banaya hai.
Aaj is kadar reh me ishq bikhra pada hai,
Aaj har khushboo fiki aur gumnaam har dua hai,
Is anjaan duniya me aap kahaan se aa gaye,
Kaun ho aap jisne mujhe mohabbat se chua hai.
Pyaar dil me ho to laao jabaan pe,
Aag badti hai ye bujhaane se.
Wo pyaar me to aksar patthar dil bhi pighal jaate hai,
Kya jaane sacchi mohabbat ko jo `Taj Mahal’ ko
Bhi khandar kahkar nikal jaate hai….
Yaadon ki dhundh me aapki parchaai si lagti hai,
Kaano me goonjti shahnaai si lagti hai,
Aap kareeb hai to apnapan hai,
Varna seene me saans bhi paraai si lagti hai.
Kisi na kisi pe kisi ko aitbaar ho jata hai,
Ajnabi koi shakhs yaar ho jata hai,
Khoobiyon se nahi hoti mohabbat sada,
Khaamiyon se bhi aksar pyaar ho jata hai.
Gam ko bechkar khushi khareed lenge,
Khwaab bechkar jindagi khareed lenge,
Hoga imtihaan to dekhegi duniya,
Khud ko bechkar aapki khushi khareed lenge.
Jab nahi aaye the tum, tab bhi mere saath the tum,
Dil me dhadkan ki tarah, tan me jeewan ki tarah,
Meri dharti, mere mausam, mere din-raat the tum.
Tum mujhe bhool na paaoge,
Is kadar ham tumhe yaad aayenge…
Yakeen na aaye to aaine me dekhna,
Teri aankhon me ham najar aayenge…
Tumhe na