Aaj bazaar main pa bajolaan chalo

Chashm-e-nam, jaan-e-shoreeda kafi nahin

Tohmat-e-ishq-posheeda kafi nahin

aaj bazaar main pa-bajolaan chalo

Dast afshan chalo, mast-o-raqsan chalo

Khak bar sar chalo, khoon badamaan chalo

Rah takta hai sub shehr-e-janaan chalo

Haakim-e-shehr bhi, majma-e-aam bhi

Teer-e-ilzam bhi, sang-e-dushnam bhi

Subh-e-nashaad bhi, roz-e-naakaam bhi

Unka dum-saaz apnay siwa kaun hai

Shehr-e-janaan main ab baa-sifa kaun hai

Dast-e-qatil kay shayan raha kaun hai

Rakht-e-dil baandh lo, dil figaron chalo

Phir hameen qatl ho aaein yaro chalo