zindegi ki ghani dhoop dhelnay say pahlay

ummeedon ki khushboo bikhrnay say pahlay

aik roz kabhi hum tum say milain

usi roz chaman main phool khilain

usi roz main apnay sub qaidi

yaani dukh k sub panchi

riha karoun

azaad karoun

or dil ka nagar abaad karoun

usi roz ho youn k hum donon

hathon main dalain hathon ko

khushyon k reishmi sahil say

aashaon k gehray saagar main

khwabon k hunse rang suuraj ko

kuch deir tak ruka deikhain

waqt ko thama dekhain

or jub jis pal jis lamhay tum

mujh ko deikh k dheeray say hunse do

ser apna mairay shanay per rakh do

tab saansein mari

maira jeevan

teiray name ho jaye

or zindegi ki bus wahin per shaam ho jaye……………