Zindagi K Safar Main Gardishon Ki Dhuop Main

Jab Koi Saya Nahin Milta To Yad Ati Hai Maan



Piyaar Kehtey Hain Kisey Our Mamta Kya Chiiz Hai

Koi Un Bachon Say Puche Jin Ki Marr Jati Hai Maan



Dair Ho Jati Hai Ghar Ane Main Aksar Jab Humain

Rait Par Machali Ho Jaisey Aisey Tarapti Hai Maan

Martey Dum Jab Bacha Na Aye Agar Pardes Say

To Apni Dono Putliyan Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maan



Fikar Main Bachon Ki Kuch Is Tarha Ghul Jati Hai Maan

Nujawaan Hote Huway Bhi Bhuri Nazar Ati Hai Maan



Samney Bachon Ke Khush Rehti Hai Har Haal Main

Rat Ko Chup Chup Ke Ansoo Bahati Hai Maan



Sal Bahr Main Ya Kabhi Hafte Main Jum-e-Rat Ko

Zindagi Bhar Ka Sila Aik ?Faat-e-Haa? Pati Hai Maan

WE MUST RESPECT OUR PARENTS ………… ………