Zikr ulfat per natija ye hua taqreer ka

Mein bhi chup hun,woh bhi chup aalm hai ek tasveer ka

Aate aate ruk gaya hai dam jo mujh dilgeer ka

Aah bhar ker muntazir hun ,aah ki taseer ka

Zulf-e-laila-e-shab-e-gham hoti jati hai daraaz

Aur e dil kya asar ho naala-e-shab geer ka

Tor ker pahlu ko nikla hai khadang naaz yun

Dil nahin ek doosra paikaan hai goya teer ka

Saaf baatin hain,hamara raaz-e-ulfat kya chupe

Dil mein aalm hai yahan aaina-e-tasveer ka

Subh tak dekhen dil-e-mahjoor ka kya haal ho

Qasd hai phir aaj mashq-e-naala-e-shab geer ka

Shama hai bazm-e-jahan mein kya adab-e-aamoz-e-ishq

Lab pe shikwa tak nahin be-rehmi-e-gul geer ka

Maut se kya saaz ker rakha hai us ne e nazar

Muddatein guzrin sabab khulta nahin takheer ka…!!!!