zara si chot jab dil ko pahunche

to chalak ke reh jaati hain aankhen

inteha intezaar ki jab ho jaye

to taras ke reh jati hain aankhen

khwab jab aaine jaise tuten

to tadap ke reh jaati hain aankhen

gam ke badal jab bekraar hon umadne ko

to baras ke reh jaati hain aankhen

palken jab khwab tere bunti hon

to machal ke reh jaati hain aankhen

nasha jab teri yaad ka chaye

to behek ke reh jaati hain aankhen

tanhaa jab ho jaye bheer mein koi

to bhatak ke reh jaati hain aankhen

hawa jab saundhi si sandesha tera laye

to mehek ke reh jaati hain aankhen

wafa ke badle bhi bewafayi mile

to darak ke reh jati hain aankhen

dilresh