zara sahil pe aa kr wo jo thora muskra daita,

Bhanwar khbra k khud mujh ko kinaray par lga daita,

Wo na ata magr itna to keh daita mai aon ga,

Sitaray chand sara aasma rahon mai bicha daita,

Khabar hoti agr ye haal jal hai qismat k sazish ka,

Lakeerayn apnay hathon ki usi lamhay mita daita,

Shajar hota to tera naam sb patoon pe likh likh kr,

Tumharay shehar ki janib hawaon mai ura daita,