zameen baanT chuky aasman banTeN gey

hawa chaly to sahi ham uRaan banTeN gey

jo banT’ty rahy dukh sukh kaei zamanoN tak,

khuda na’karda ab apna makan banTeN gey

talab nahiN kisi manzil ki, par yaqeen rakho,

tumhaary sath safar ki takaan banTeN gey

tamaam sav saman arghawaN hisaar meiN huN,

khizaaN meiN baad-e-saba ka gumaan banTeN gey

bikharna phool ki taqdeer hi sahi, laikin,

hawa k jhonky tumhara dhyaan banTeN gey

mahabbatoN meiN junooN ka ajab taqaza hay,

wo dhoop banTy ga, ham saaibaan banTeN gey..