“Zamane se suna tha k mohbat haar jati hy

Jo chahat yak tarfa ho wo chaht haar jaati hy

Kahin par dua ka 1 lafz b asar kar jata hy

Kahin par barson ki ibadat haar jati hy

Mohabbat kab kisi ko dushmani ka dars dyti hy

Mohabbat ki baazi me adawat haar jaati hy

Humein kitne b shikwe hon uski jafaun k

Par os k saamney har ik shikayat haar jaati hy

1 Arzu si he k usko bhool jaaen hum

Par uski yaad Aate hi ye hasrat haar jati hy”