Youn dil se kisi dil ka paiman nahi kartay

Ab jan pe bani hai to darman nahi kartay

Har yaad ko ab zakham-e-dil banatay nahi

Har teer ko paiwast rag-e-jaan nahi kartay

Yeh masla ab ahl-e-muhabbat ka hai apna

Martay hain to kuch aap pe ihsaan nahi kartay

Khat lain na lain tera, hum nama baron ko

Dekhtay rehtay hain pareshaan nahi kartay

Kab shamain jalata hai shab-e-mah main koi

Tu aaye to ham ghar main charaghaan nahi kartay

Hum taj kay chalay aatay hain yaro dar-e-janaan

Ghalib ki tarha manat-e-darbaan nahi kartay