yeh kin sawalon ki kirchian hein

udaas aankhon ke farsh par jo bikhar rahi hein

yeh soyi jaagi nidhaal aankhein

taweel raston ki khoj mein hein

zaeef mausum har ik sukhan ke

lahoo mein gardish naseeb saaey hein waahimon ke

jinhein abhi tuk suraagh dil ka mila nahin hai

kinaar waada woh phool ub tuk khila nahin hai

hazaar lehjey hein justujoo mein

magar yeh baaton mein dhund kia hai

azal abad ka yeh dasht-o-sehra

yeh bhed kia hai, yeh bhaao kia hai

abad ki baaton ke khar-o-khas mein

azal se pehley ki sa’aton mein

hum apney chehrey ko dekhtey hein

humein tu khwaahish ki aahaton par

nazar jhukaati hui hawa se yeh poochna hai

keh waqt ki rehguzar mein ub safar ki kis intiha pe hum hein

yeh khwaab kis neend ka badan hai?

yeh zindagi ka bahaao kia hai