Ye mere bachpan ki galiyaan yehi mera ghar hai

Kho gaya tha jaha ye bachpan wahi ye angan hai

Aayee baad berson k ham en diwaaron se milne

gali gali main hai bachpan ki khushbo wayesa hi hai

Aaj bhi dhondti hai meri ankhein kiun meri Guryan

Aa Saheli dekh Khoaya kahan woh bachpan hai

Gorion ki shadi ka khail aur woh barish ka pani

bheegtay woh school ka jana ab bhi wahi anjuman hai

yaad aayi mujh ko meri saari saheliyaan o meri aami

lerty milty thy yehi ham wahi aks ka darpan hai