Ye mazaaq hy meri zaat sy

Ya riwaaj hy try shehr ka

Kbi is taraf kabi us taraf

Kia mizaaj hy try shehr ka

Yahan nafratain bri aam hain

Yahan chahton ki qadr nhi

Wo jo khoon tha mry jism mein

Wo anaaj hy try shehr ka

Nhi had yhan ksi zulm ki

Na he pas hy ksi rabt ka

Wo jo haal tha yahan kal talak

Wohi aj hy try shehr ka

Yahan katna ksi or ko

Hy bahadri ki alaamtain

Wo jo jangalon main bhi tha kbi

Wohi raj hy tere shehar ka