ye aur baat terii galii men na aayen ham

lekin ye kyaa ki shahar teraa chhoD jaayen ham

muddat huii hai kuu-e-butaaN kii taraf gaye

aavaaragii se dil ko kahaaN tak bachaayen ham

shaayad baqaid-e-ziist ye saaat na aa sake

tum daastaan-e-shauq suno aur sunaayen ham

be_nuur ho chukii hai bahut shahar kii fazaa

taariik raaston men kahiin kho na jaayen ham

us ke baGair aaj bahut jii udaas hai

‘Jalib’ chalo kahiin se use DhuuNDh laayen ham