Ye adat hai nahi meri ranjishein khud shuru karna,

Mene seekha nahi shayad shikayat rubaru karna,

Agar milti rahein khushian tou mein be chain rehta hun,

Meri fitrat mein shamil hai ghamon ki arzu karna,

Mjhy ye bhi aziyat hai ke ankhein num nahi hotein,

Masa’il jo bhi hon darpesh hasi se guftugu karna,

Musafir~ dohrana chahta hun mein apni tareekh e mohabbat,

Magar bas mein nahi mere isay phir se shuru karna.