ye aarzuu thii, tujhe gul ke ruu-ba-ruu karte

ham aur bulbul-e-betaab guftguu karte

payaambar na mayassar hua, to Khuub huaa

zubaan-e-Ghair se kyaa sharaH-e-aarzuu karte

meri tarah se mah-o-mahar bhii haiN aavaara

kisii habiib kii ye bhi haiN justujuu karte

jo dekhte terii zanjeer-e-zulf kaa aalam

asiir hone ki aazaad aarzuu karte

na puuchh aalam-e-bargashta taala’aii Aatash

barastii aag, jo baraaN ki aarzuu karte