yar ko ragbat-e-agyar na hone paye

gul-e-tar ko havaz-e-Khaar na hone paye

baag ki sair ko jate to ho par yaad rahe

sabza begana hai do-chaar na hone paye

jama kar lijiye gamzon ko magar Khubii-e-bazm

bas vahin tak hai ke baazar na hone paye

ap jate to hain is bazm men lekin ‘Shibli’

haal-e-dil dekhiye izhar naa hone paaye