yahii tohafaa hai yahii nazaraanaa

main jo aavaaraa nazar laayaa huuN

rang men tere milaane ke liye

qataraa-e-Khuun-e-jigar laayaa huuN

ai gulaabon ke vatan

pahale kab aayaa huuN kuchh yaad nahiin

lekin aayaa thaa qasam khaataa huuN

phuul to phuul hain kaaNTon pe tere

apane hoNTon ke nishaaN paataa huuN

mere Khvaabon ke vatan

chuum lene de mujhe haath apane

jin se toDii hain kaii zanjiiren

tuune badalaa hai mashiyat kaa mizaaj

tuune likhii hain naii taqdiiren

inqalaabon ke vatan

phuul ke baad naye phuul khilen

kabhii Khaalii na ho daaman teraa

roshanii roshanii terii raahen

chaaNdanii chaaNdanii aangan teraa

maahataabon ke vatan