Ya Rab! mere sakoot ko naghma-saraai deZakhm-e-hunar ko hosla-e-lab- kushaai de

Lehje ko ju-e-aab ki wo nae-navaai deDunia ko harf harf ka behna sunaai de

Rag rag mein uss ka lams utarta dikhaai deJo kaifiyat bhi jism ko de intahaai de

Shehr-e-sukhan se rooh ko wo aashnaai deAankhein bhi band rakhoon to rasta sujHaai de

Takhayyul maahtaab ho,izhaar aa’inaAankhon ko lafz lafz ka chehra dikhaai de

Dil ko lahu karooN to koi naqsh ban sakeTu mujh ko karb-e-zaat ki sachi kamaai de

Dukh k safar mein manzil-e-na- yaaft kuch na hoZakhm-e-jigar se zakhm-e-hunar tak rasaai de

Main ishq-e-kaa’inaat mein zanjeer ho sakooNMujh ko hisaar-e-zaat k shar se rehaai de

PehroN ki tishnagi pe bhi saabit-qadam rahooNDasht-e-balaa mein,rooh mujhe karbalaai de