woh piyar humien mil na saka itni chahtoun ke baad

woh bhi humara ho na saka itni mulaqatoun ke baad

bemaar dil ki halat na badli itni ayidtoun ke baad

woh sakoon phir bhi na mila itni rahtoon ke baad

woh manzil ka nishaan na mila itni misaftoun ke baad

woh faisla phir bhi na mila itni samaatoun ke baad

woh gilaa bhi na kersake hum itni shakiatoun ke baad

woh woh na raha niyazi itni shanakhtoun ke baad