Woh Janti Thi

Wafaa Ka Ajar Nahi Hota

Muhabaton Main Sabar Ka Samar Nahi Hota

Woh Janti Thi

Muhabat Dukhon Ka Sehraa Hay

Jehan Serab Si Khushyan Hain

Aur Azaab Say Ghum

Jehan Hay Pyaas Judaai Ki Betahasha Magar

Milan Ki Barishain Hoti Hain Jis Dyar Main Kam

Woh Janti Thi

Muhabat Khiraj Mangti Hay

Woh Jis Ko Dil Ka Lahoo Day Kay Jagmagaya Ho

Andheri Rah Kay Lya Woh Chiragh Mangti Hay

Woh Janti Thi

Muhabat Woh Rehguzar Hay Jehan

Bichay Hain Kaanch Judai Kay Beshumar Magar

Brehna-Pa Hi Inhain Paar Kerna Perta Hay

Ghemon Ki Dhoop Main Jab Saibaan Koi Na Ho

Kisi Ki Yaad Ki Chader Ko Taan Ker Khud Per

Tamam Aahain Deba Ker Guzerna Perta Hay

Woh Janti Thi

Wafa Ka Ajar Nahi Hota

Muhabaton Main Saber Ka Samer Nahi Hota

Hijer Ki Rah Main Hoti Hay Betahashah Ghutan

Wehan Kebhi Bhi Hawa Ka Guzer Nahi Hota

Woh Janti Thi

Magar Phir Bhi Roag Lay Bethi

Kisi Kay Pyar Main Janay Kun Joag Lay Bethi

Woh Janti Thi Magr Phir Bhi