Wo gumaan gumaan sa Qayaas sa

kbhi door sa … kbhi paas sa

kbhi chandni main chupa hua

kbhi khushbuon main basa hua

kbhi sirf uski shabahatein

kbhi sirf uski hikayatein

kbhi band dil ki kitaab main

kbhi lab kushan wo khwab main

kbhi yun k jaise sawal ho

kbhi yun k jaise jawab ho

kbhi dekhne k hain silsile

kbhi sochne k hain marhaly

kbhi sirf rang-e-bahar sa

kbhi sirf ek ghubaar sa

kbhi dastaras k qareeb qareeb

kbhi door … paas … kahin nahi

ye jo ukhra ukhra sa shaks hai

ye jo bikhra bikhra sa shaks hai

kbhi sirf milne k silsile

kbhi sirf us se hain faasle

kbhi door chalti hawaon main

kbhi meenha barasti ghataon main

kbhi bad-gumaan … kbhi meherbaan

kbhi dhoop hai … kbhi sayebaan