Wo ek masoom si chahat

Wo ek benam si ulfat

Wo meri zaat ka hissa

Wo meri zeest ka qissa

Mujhe mehsus hota hy

Wo mery pas hy ab b

Wo jub jub yad ata hy

Nigahon may samata hy

Zuban khamosh hoti hy

Magr ye ankh roti hy

Mein khud se poch lete hon

Jise mein yad krte hon

Usay kya pyar tha mujh se

Jwab ‘han’ soch lete hon

Usay b pyar ha Shayad

Isi ‘Shayad’ se wabasta hy ab to hr khushi meri

Yahi ek lafz ‘Shayad’ ban gya hy zindgi meri.