Wisaal-O-Hijr Mein

Ya Khwab Se Mahroom Aankhon Mein

Kisi Ahd-E-Rifaqat Mein

Ke Tanhai Ke Jangal Mein

Khyal-E-Khal-O-Khad Ki Roshani Ke Gahre Baadal Mein

Chamkti Dhoop Me Ya Phir

Kisi Be Abr Saye Mein

Kahin Baarish Me Bhige Jism-O-Jaan Ke Nasrparon Mein

Kahin Hoton Pe Shairon Ki Mahaktie Aabsharon Mein

Chiraghon Se Saji Shaamon Mein

Ya Benoor Raaton Mein

Sahr Ho Runuma Jaise Kahin Baaton Hi Baaton Mein

Koi Lipta Hua Ho Jis Tarah

Sandal Ki Khushboo Mein

Kahin Pe Titliyon Ke Rang Tasweeren Bana Te Hon

Kahin Pe Jugnuon Ki Muthiyon Me Roshani Khud Ko Chupati Ho

Kahin Kaisa Hi Manzar Ho

Kahin Kaisa Hi Mausam Ho

Tere Saare Hawalon Ho

Teri Saari Misalon Ko

Mohabbat Yaad Rakhti Hai