vo baat baat pe jii bhar ke bolane vaalaa

ulajh ke rah gayaa, Dorii ko kholane vaalaa

lo saare shahar ke patthar sameT laaye ham

kahaaN hai ham ko shab-o-roz tolane vaalaa

hamaaraa dil to samandar thaa us ne dekh liyaa

bahut udaas huaa zahar gholane vaalaa

kisii kii mauj-e-ravaaN se khaa gayaa kyaa maat

vo ek nazar men dilon ko TaTolane vaalaa

vo aaj phir yahii doharaa ke chal diyaa ‘Bani’

main bhuul ke nahiin ab tujh se bolane valaa