varaq hai mere sahiife kaa, aasmaaN kyaa hai

rahaa yeh chaaNd to shaayad tumhaaraa chehraa hai

jo puuchhtaa thaa meri umr usse kah dena

kisii ke pyaar ke mausam kaa ek jhoNkaa hai

fizaa ki shaaKh pe lafzoN ke phuul khilne do

jise sukuut smaajhte ho zard patta hai

mere qadam bhii ko’ii shaam kaash le letii

mera safar bhii to suraj ki taraH tanhaa hai

zaruur chaaNd ke honToN pe meraa naam aayaa hogaa

merii miZhah se sitaara saa ko’ii TuuTaa hai

har ek shaKhs ko ummeed usii se hai

tamaam shahar meN voh ek hii to rusvaa hai