Utthe hai seene se aah ghazalain.

Meri wafaa ki gawaah ghazalain,

Tumhaari ghodi main sar ho mera,

Hai aise lamhon ki chaah ghazalain.

Kahaan kahaan tak bayaan karengi,

Teraa husn bepanaah ghazalain.

Issi tamannaa se likh rahe hain,

Hai tumse milane ki raah ghazalain.

Kabhi mere ashk paunchati hain,

Kabhi pakadati hai baanh ghazalain.

Akele main mujh se bolti hain,

Sayaani deti salaah ghazalain.

Dilaayengi yeh maqaam mera,

Yaa phir karengi tabaah ghazalain.

Farebi maujaun ka rukh nahin hai,

Hai gehere daryaa ki teh ghazalain.

Jahaan ki khudgarz berukhi se,

Hai aadmi ki panaah ghazalain.

Lage hai nafarat ke naakhudaa ko,

Ye besabab sa gunaah ghazalain.

Tamaam baichain dil jalon ko,

Ghussare gham khair khawah ghazalain.

Tikaa ke ghootne, uthaa ke baazu,

Hai bandagi ki nigaah ghazalain.