Ussy yad na aye hum par us ny humin bhulaya nahi

khushiyan na dy paye humin par kabhi rulaya nahi

Mana k door hai mujh sy par dil k bohat pas hai woh

Pas reh kar bhi, pas aa kar kabhi behlaya nahi

Suljhata tha bal us k jub hota tha woh pas mery

Ab jub door hai mujh sy to khud ko bhi kabhi suljhaya nahi

Woh samajhta kyon nahi k hai ussy koi bohat chhahny wala

Chhupta phirta hy woh mujh sy par samny kabhi woh aya nahi

Mery dil mein chhupy pyar ko woh dekh kyon nahi pata

ALI ny to aaj tak kabhi kisi sy kuch chhupaya nahi