use mjh se ye shikwa tha

sfar q mukhtasar he

ye raste qunkr simat jate hain lamhun mai

tmhare sath chalne mai ye ik nuqsan sa kia he

k jb niklo palak jhabke main sadiyan beet jati hain

nagori sham dhalne k lea tayar bethi he

k hm ne ik zara sa bahr nikalne ka

irada aik doje ko btaya aur ye moe sham yun lapki

k jese muntazir thi bs hamri he

use mjh se ye shikwa tha

sfar q mukhtasr he

main us k baad ab

lmhun ki jin bhari chatano k tale tehra

khud apni chap ki zanjeer mai jakra

taweel aur unginat rasto k chungal mai ghista

hijr k js raigan thehrao se uljha howa

do char qadmo mai bhatakta phr raha hun

ks tarah us ko bataun

aur kahan se dhund k laun