Udas Tehreer Parh Kay Meri,

Meray Sanam Muskura Na Dena,

Yeh Aakhri Khatt Mein Likh Raha Hoon,

Khayal Rakhna Kahin Jala Na Dena,

Guzar Rahi Hai Tumhari Kaise Bicher K Humse,

Haqeeqton ko Zaroor Likhna Anaa Ki Khatir Chupa Na Lena,

Koi Jo Pouche Kidher Gya Wo Jo Teri Mehfilon Ka Tha Sahara,

Jo Furqaton Ka Sabab Banay Thay Kisi Bashar Ko Bata Na Dena,

Mein Mar Bhi Jaoon To Muskurana Ehsas e Ghum Ki Na Chot Khana,

Jo Qarb e Ghum Se Nigahen Bheegain To Rukh Se Aanchal Hata Na Lena,

Lahoo Se Tehreer Kar Raha Hoon Mein Apni Sari Kahani $h4z!L,

Jo Phar Bhi Do To Pass Rakhna Hawa Mein Tukre Ura Na Dena