tumheN furSat ho jab barq-e-tapaaN se

nimaT lenaa hamaare aashiyaaN se

yeh dunyaa kam naheN baar-e-giraaN se

naheN Khaalii koYii aah-o-fughaaN se

naSeebooN kaa likhaa miTta naheeN hai

bache nah koYii qismat ke ziyaaN se

jahaaN bhee ham chale har pal saNbhal kar

lagii Taukar hameN kiyoN-kar wahaaN se?

nah hum ko aazmaa,o is qadar tum

guzar jahenge hum jaan-o-jahaaN se

hameN gheraa hai aisaa waswasooN ne

nah hoNge surKhrou har imtiHaaN se

mujhe hai fikr apne a’aqibat kee

koyii khwahish naheeN umr-e-rawaN se

karoon kaise adaa haq bandagi ka

too baalaa hai mire wehm-o-gumaaN se

mujh`e bas HauSilay kee hai Zaroorat

keh manzil par paunch jaahoon amaaN se

ghaRee bhar kee yeh meHmani hai

chale jaanaa hai sab ko is jahaaN se