Tumharay shehar ka mausam bara suhana lagay

Main ik sham chura lon agar bura na lagay

Jo doobna hai to itnay sakoon se doobo

K ass pass ki lehron ko b pata na lagay

Tm shayd pal mai bhula do hmain

Tumhain bhulanay main shayed hamain zamana lagay

Na janay kya hai kisi k udas aankho main

Wo muon chupa kar b jaye to bewafa na lagay

Hamaray pyar se jalnay lagi hai dunya

Dua karo k kisi dushman ki bad’dua na lagay.