‘Tum Sach Ho, Baaqi Jo Hai Fasana Hai Aur Bass’.

Milna Na Milna Aik Bahana Hai Aur Bass

Tum Sach Ho, Baaqi Jo Hai Fasana Hai Aur Bass

Logon Ko Rastey Ki Zaroorat Hai Aur Mujhey

Aik Sang-E-Rehguzar Ko Hattana Hai Aur Bass

Masrofiyat Zyada Nahin Hai Mairi Yahan

Mitti Say Aik Chiragh Jalaana Hai Aur Bass

Soye Huwey Tu Jaag Hi Jaayein Gey Aik Din

Jo Jaagtey Hain Unn Ko Jagana Hai Aur Bass

TumWoh Nahin Jin Say Wafa Ki Umeed Hai

Tum Say Mairi Zamana Hai Aur Bass

Neendon Ka Ratjagon Say Ulajhna Yoon Hi Nahin

Aik Khuwab Raigaan Ko Bachana Hai Aur Bass

Aik Wada Jo Kiya Hi Nahin Hai Abhi ‘Saleem’

Mujh Ko Wohi To Wada Nibhana Hai Aur Bass