[ Tum pasandidah kitab ho ]

Aksar sochti rahi !!

Main tumhari sabse zyada

Pasandida kitab ki tarah hoon

Jo neend mein bhi

Tumhare seene mein khul kar rehti he

Tum mujhe parrhte ho

Harf-Harf samajhte ho

Sparsh karte ho

Main aur bhi gehrayi may utar jati hoon

Tumhare ghar ke

Kone kone mein dikhi jati hoon

Wahin-Wahin jahan jahan

Tum mujhe dh0ndte rahe

phir achanak Q !!!

Seene mein rakhi kitab ko

DheroN kitabo ke beech rakh diya

Ek baar bhi nahi chaaha

kitab par jami dhool ko

hata dooN . .

usey usi jagah rakh dooN. .

Thora parh looN. .

Aur keh dooN

Tum hi meri pasandidah kitab ho.