*. .Tum abr-e-guraizan ho,

Main sehra ki manind hoon.

Do boond jo barso ge,

Be-kaar mein barso ge.

Hai khushk bohat matti,

Har simt bagolay hain,

Sehra k bagolon se,

Uthtay hi to sholay hain.

Tum khul k agar barso,

To sehra mein gulistaan ho,

Par tum se kahain kaisay.?

Tum abr-e-guraizan ho.

JAL THAL jo agar kr do,

TANN MANN mein nami bhar do.

Hai khushk bohat matti,

Poori jo kami kar do,

Phir tum ko bataein ge,

Tum meri MOHABBAT ho. . .*